Chand ko zamin par lane ki zid thi Humne unhe apna banane ki zid thi Jish raah par lakhon ghar barbad hue hame bhi woh raah apnane ki zid thi accha hua ki woh bewafa ho gae warna unhe pane ke liye ish zamane ko jalane ki zid thi...
Beet jaate hai jo zamane nahin aate, Aate bhi hai toh woh log purane nahin aate, Kuch is kadar bikhra hai aashiyana humara, Jahan panchhi bhi raat bitaane nahin aate....
Tujhe Gale Lagana Hai Aur Bahot Kuch Kehna Hai Kehna Hai Ye Jo Suraj Hai Mujhe Apni Garmi Se Jalata Hai Jab Jaltey Hain Hum Tou Teri Yaad Aati Hai
Kehna Hai Ye Jo Chand Hai Apne Tandak Se Mujhe Tadpata Hai Jab Tadptey Hain Hum Tou Teri Yaad Aati Hai Kehna Hai
Ye Jo Sitare Hain Mujhe Akela Dekh Hansi Udatey Hain Jab Dard Hota Hai Tou Teri Yaad Aati Hai Kehna Hai
Ye Jo Andhera Hai Mujhe Darata Hai,Jab Dartey Hain Hum Tou Teri Yaad Aati Hai Kehna Hai Ke Tujh Bin Na Ye Saanse Chalti Hain
Na Hee Ye Dil Dhadkta Hai Ab Tou Armaan Hai Tujhe Sab Kehne Ka Aur Phir Gale Lagane Ka
Jab Tum Gale Lagate Ho To Ek Madhoshi Cha Jati Hai Par Sach Kahoo Tou Ye Sab Tou Sirf Ek Bahana Hai....I MISS U