Tuesday, July 20, 2010


Bade Naseeb Se Milte Hain Pyar Zingdi Mein,
Jise Hum Kabhi Khona Nahi Chahte Hain,
Wo Bhale Hi Dur Ho Jaye Humse Kuchh Pal Mein,
Par Hum Kabhi Unse Dur Hona Nahi Chahte Hain....

Mere Haseen Khwaab Naa Tod Dena Tum
Mere Sukh Ko Dukh Ki Aur Na Mod Dena Tum

Mere Sab Armaan Tumse Hi Jindaa Hai
Mere In Armaano Ko Rukh Na Mod Dena Tum.

Tumse Bandhi Hai Kuch Tamnaaye Meri
In Meri Tamnaao Ko Naa Bikher Dena Tum

Mujhe Yun Saharaa Diyaa Hai Ab Tak
Kabhi Be Saharaa Naa Chod Dena Tum

Tumharaa Pyaar Mangte Hai Bas Tumse
Ho Sake To Apna Pyaar Hame Dena Tum...


Kabhie Laabon Ki Haansii
Kabhie Aankhoon Ki Namii
…Kya Yehi Pyaar Hai

Kabhie Miilioon Ki Duuriyaan
Kabhie Dil Kii Naazdeekiyan
…Kya Yehi Pyaar Hai

Kabhie Ruthnaa Satane Ke Liye
Kabhie Mannana Duur Na Rehne Ke Liye
…Kya Yehi Pyaar Hai

Kabhie Samajhana Rokne Ke Liye
Kabhie Samajna Saath Dene Ke Liye
…Kya Yehi Pyaar Hai

Kabhie Dil Ko Chuu Lena
Kabhie Dil Ko Todd Dena
…Kya Yehi Pyaar Hai

Kabhie Khushiyon Ki Mehfilyen
Kabhie Ghuum Ki Taanhayaaien
… Kya Yehi Pyaar Hai

Kabhie Saacha Hai Sab Kuch
Kabhie Jhootha Kuch Nahi
… Kya Yehi Pyaar Hai

Kabhie Duniya Ka Sukh Hai
Kabhie Saare Jahaan Ka Dard Hai
… Kya Yehi Pyaar Hai.....

Yaad aate hain woh guzre din,
jab doston ke saath hua karte thhe.

Har shaam kisi dhaabe pe baith,
chai ki chuskiyaan liya karte thhe.

Ek pyala khatam hone se pehle,
doosre ka order kiya karte thhe.

Pyale pe pyale chai ke chalte rehte,
yuhin gappon mein har shaam guzara karte thhe.

Thikana badla, doston ka saath bhi badla,
par chai ke silsilay waise hi hua karte thhe.

Phir ek ek kar har dost ka saath chootne laga,
chai ki chuskiyon ka woh swaad bhi humse roothne laga.

Ab har shaam akele hi chai ka pyala uthaate hain,
har chuski ke saath woh guzre din hi bus yaad aate hain....

Rulane se pahale ek bar hansaya to hota,
Kasoor kya hai is dil ka bataya to hota,
Mili saza us khata ki jo na ki kabhi hamne,
Kash yeh dil kabhi kahin lagaya na hota....

Zamane bhar ki baaton mein hamein na bhula dena,
Jab kabhi yaad aaye to zara sa muskura dena,
Zinda rahe to milenge bar-bar sanam,
Nahi to har Diwali mere naam ka diya jala dena....

Dard to Zindagi ki sabse badi sachchai hai,
Zindagi kab bhala Dard se bach payi hai,
MaiNe socha tha dard door hai mujhe se bahut,
Har pal mili mujhe dard se ruswai hai,
Halat-e-dil kaise bataon main tumhe,
Pyar mein tere chot bahut ghari khayi hai,
Dil ne socha tha kareinge Mohabbat ki baatain,
Kyun pyar mein ki tune bewafai hai.....

Unhone dekha aur aansu ghir pade,
bhari barsaat me jaise phul bhikar pade,
dukh vo nahi ki unhone hume alvida kaha,
dukh tho ye hai ki uske baad vo khud ro pade…