Saturday, July 24, 2010


Chand ko zamin par lane ki zid thi
Humne unhe apna banane ki zid thi
Jish raah par lakhon ghar barbad hue
hame bhi woh raah apnane ki zid thi
accha hua ki woh bewafa ho gae
warna unhe pane ke liye ish zamane ko jalane ki zid thi...

Beet jaate hai jo zamane nahin aate,
Aate bhi hai toh woh log purane nahin aate,
Kuch is kadar bikhra hai aashiyana humara,
Jahan panchhi bhi raat bitaane nahin aate....

Tujhe Gale Lagana Hai Aur Bahot Kuch Kehna Hai
Kehna Hai Ye Jo Suraj Hai Mujhe Apni Garmi Se Jalata Hai
Jab Jaltey Hain Hum Tou Teri Yaad Aati Hai

Kehna Hai Ye Jo Chand Hai Apne Tandak Se Mujhe Tadpata Hai
Jab Tadptey Hain Hum Tou Teri Yaad Aati Hai
Kehna Hai

Ye Jo Sitare Hain Mujhe Akela Dekh Hansi Udatey Hain
Jab Dard Hota Hai Tou Teri Yaad Aati Hai
Kehna Hai

Ye Jo Andhera Hai Mujhe Darata Hai,Jab Dartey Hain
Hum Tou Teri Yaad Aati Hai
Kehna Hai Ke Tujh Bin Na Ye Saanse Chalti Hain

Na Hee Ye Dil Dhadkta Hai
Ab Tou Armaan Hai
Tujhe Sab Kehne Ka Aur Phir Gale Lagane Ka

Jab Tum Gale Lagate Ho To Ek Madhoshi Cha Jati Hai
Par Sach Kahoo Tou Ye Sab Tou Sirf Ek Bahana Hai....I MISS U