Wednesday, September 1, 2010

Rehtey hain saath saath mai aur meri tanhai
Kartey hain raaz ki baat mai aur meri tanhai

Din to guzar hi jata hai logon ki bheer mai
Kartey hain basar raat main meri tanhai

Saanson ka kya bharosa kab chor jain saath
Laikin rahain gay saath main aur meri tanhai

Aaye na tumhe yaad kabhi bhul kar bhi hum
Kartey hain tumhe yaad main aur meri tanhai

Aa ke paas kyon door ho gaye hum se
Kartey hain teri talash main aur meri tanhai'a
Kya Poochte Ho , Main Kaisa Hoon
Ek Shard Hawa Ka Jhonka Hoon
Hai Mere Rooh Mein Bechaini
Main Apne Aap Mein Ulja Hoon
Hai Mera Saya aur Koi
Main aur Kisi Ka Saya Hoon
To Khush Hai Apni Duniya Mein
Main Teri Yaad Mein Jalta Hoon
Ab Luat Ke Aa aur Dekh Sona
Ek Umar Se Tanha Tanha Hoon......
Jaane kya hai dil ke andar jo chupke se toot raha hai,
Ek meherbaan ka haath jaise hathon se chooth raha hai……
Ankhon mein ashkon ka samandar hai..
lagta hai jaise koi patta shaakhon se toot raha hai……
Ashkon ko Meri Aankhon mein rehne ki aadat si ho gayi hai
Ab toh Jaise Ishq hi mujh se rooth raha hai……